tum agar sath dene ka wada karo
tum agar saath dene kā va.ada karo
maiñ yūñhī mast naġhme luTātā rahūñ
tum mujhe dekh kar muskurātī raho
maiñ tumheñ dekh kar giit gaatā rahūñ
kitne jalve fazāoñ meñ bikhre magar
maiñ ne ab tak kisī ko pukārā nahīñ
tum ko dekhā to nazreñ ye kahne lagīñ
ham ko chehre se haTnā gavārā nahīñ
tum agar merī nazroñ ke aage raho
maiñ har ik shai se nazreñ churātā rahūñ
maiñ ne ḳhvāboñ meñ barsoñ tarāshā jise
tum vahī sañg-e-marmar kī tasvīr ho
tum na samjho tumhārā muqaddar huuñ maiñ
maiñ samajhtā huuñ tum merī taqdīr ho
tum agar mujh ko apnā samajhne lago
maiñ bahāroñ kī mahfil sajātā rahūñ
tum agar sath dene ka wada karo
main yunhi mast naghme luTata rahun
tum mujhe dekh kar muskuraati raho
main tumhein dekh kar git gata rahun
kitne jalwe fazaon mein bikhre magar
main ne ab tak kisi ko pukara nahin
tum ko dekha to nazren ye kahne lagin
hum ko chehre se haTna gawara nahin
tum agar meri nazron ke aage raho
main har ek shai se nazren churaata rahun
main ne KHwabon mein barson tarasha jise
tum wahi sang-e-marmar ki taswir ho
tum na samjho tumhaara muqaddar hun main
main samajhta hun tum meri taqdir ho
tum agar mujh ko apna samajhne lago
main bahaaron ki mahfil sajata rahun
- Book : Kulliyat-e-Sahir Ludhianvi (Pg. 329)
- Author : SAHIR LUDHIANVI
- Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.