tumne kitne sapne dekhe maine kitne git bune
tum ne kitne sapne dekhe maiñ ne kitne giit bune
is duniyā ke shor meñ lekin dil kī dhaḌkan kaun sune
sargam kī āvāz pe sar ko dhunñe vaale lākhoñ paa.e
naġhmoñ kī khiltī kaliyoñ ko chunñe vaale lākhoñ paa.e
raakh hue jo dil meñ jal kar vo añgāre kaun chune
tum ne kitne sapne dekhe maiñ ne kitne giit bune
armānoñ ke suune ghar meñ har aahaT begānī niklī
dil ne jab nazdīk se dekhā har sūrat an-jānī niklī
bojhal ghaḌiyāñ ginte ginte sadme ho ga.e laakh gune
tum ne kitne sapne dekhe maiñ ne kitne giit bune
tum ne kitne sapne dekhe main ne kitne git bune
is duniya ke shor mein lekin dil ki dhaDkan kaun sune
sargam ki aawaz pe sar ko dhunne wale lakhon pae
naghmon ki khilti kaliyon ko chunne wale lakhon pae
rakh hue jo dil mein jal kar wo angare kaun chune
tum ne kitne sapne dekhe main ne kitne git bune
armanon ke sune ghar mein har aahaT begani nikli
dil ne jab nazdik se dekha har surat an-jaani nikli
bojhal ghaDiyan ginte ginte sadme ho gae lakh gune
tum ne kitne sapne dekhe main ne kitne git bune
- Book : Kulliyat-e-Sahir Ludhianvi (Pg. 436)
- Author : SAHIR LUDHIANVI
- Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.