mujhe gale se laga lo bahut udas hun main
Interesting Fact
During his relationship with Sudha Malhotra, Sahir wrote this song which was later sung by Sudha Malhotra herself.
mujhe gale se lagā lo bahut udaas huuñ maiñ
ġham-e-jahāñ se chhuḌā lo bahut udaas huuñ maiñ
ye intizār kā dukh ab sahā nahīñ jaatā
taḌap rahī hai mohabbat rahā nahīñ jaatā
tum apne paas balā lo bahut udaas huuñ maiñ
bhaTak chukī huuñ bahut zindagī kī rāhoñ meñ
mujhe ab aa ke chhupā lo tum apnī bāñhoñ meñ
mirā savāl na Taalo bahut udaas huuñ maiñ
har ek saañs meñ milne kī pyaas paltī hai
sulag rahā hai badan aur ruuh jaltī hai
bachā sako to bachā lo bahut udaas huuñ maiñ
mujhe gale se laga lo bahut udas hun main
gham-e-jahan se chhuDa lo bahut udas hun main
ye intizar ka dukh ab saha nahin jata
taDap rahi hai mohabbat raha nahin jata
tum apne pas bala lo bahut udas hun main
bhaTak chuki hun bahut zindagi ki rahon mein
mujhe ab aa ke chhupa lo tum apni banhon mein
mera sawal na Talo bahut udas hun main
har ek sans mein milne ki pyas palti hai
sulag raha hai badan aur ruh jalti hai
bacha sako to bacha lo bahut udas hun main
- Book : Kulliyat-e-Sahir Ludhianvi (Pg. 323)
- Author : SAHIR LUDHIANVI
- Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.