zindagi-bhar nahin bhulegi wo barsat ki raat
zindagī-bhar nahīñ bhūlegī vo barsāt kī raat
ek anjān hasīna se mulāqāt kī raat
haa.e vo reshmīñ zulfoñ se barastā paanī
phuul se gāloñ pe rukne ko tarastā paanī
dil meñ tūfān uThā.e hue jazbāt kī raat
zindagī-bhar nahīñ bhūlegī vo barsāt kī raat
Dar ke bijlī se achānak vo lipaTnā us kā
aur phir sharm se bal khā ke simaTnā us kā
kabhī dekhī na sunī aisī tilismāt kī raat
zindagī-bhar nahīñ bhūlegī vo barsāt kī raat
surḳh āñchal ko dabā kar jo nichoḌā us ne
dil pe jaltā huā ik terā sā chhoḌā us ne
aag paanī meñ lagāte hue hālāt kī raat
zindagī-bhar nahīñ bhūlegī vo barsāt kī raat
mere naġhmoñ meñ jo bastī hai vo tasvīr thī vo
naujavānī ke hasīñ ḳhvāb kī ta.abīr thī vo
āsmānoñ se utar aa.ī thī jo raat kī raat
zindagī-bhar nahīñ bhūlegī vo barsāt kī raat
zindagi-bhar nahin bhulegi wo barsat ki raat
ek anjaan hasina se mulaqat ki raat
hae wo reshmin zulfon se barasta pani
phul se galon pe rukne ko tarasta pani
dil mein tufan uThae hue jazbaat ki raat
zindagi-bhar nahin bhulegi wo barsat ki raat
Dar ke bijli se achanak wo lipaTna us ka
aur phir sharm se bal kha ke simaTna us ka
kabhi dekhi na suni aisi tilismat ki raat
zindagi-bhar nahin bhulegi wo barsat ki raat
surKH aanchal ko daba kar jo nichoDa us ne
dil pe jalta hua ek tera sa chhoDa us ne
aag pani mein lagate hue haalat ki raat
zindagi-bhar nahin bhulegi wo barsat ki raat
mere naghmon mein jo basti hai wo taswir thi wo
naujawani ke hasin KHwab ki tabir thi wo
aasmanon se utar aai thi jo raat ki raat
zindagi-bhar nahin bhulegi wo barsat ki raat
- Book : Kulliyat-e-Sahir Ludhianvi (Pg. 396)
- Author : SAHIR LUDHIANVI
- Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.