Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zindagi-bhar nahin bhulegi wo barsat ki raat

Sahir Ludhianvi

zindagi-bhar nahin bhulegi wo barsat ki raat

Sahir Ludhianvi

MORE BYSahir Ludhianvi

    zindagī-bhar nahīñ bhūlegī vo barsāt raat

    ek anjān hasīna se mulāqāt raat

    haa.e vo reshmīñ zulfoñ se barastā paanī

    phuul se gāloñ pe rukne ko tarastā paanī

    dil meñ tūfān uThā.e hue jazbāt raat

    zindagī-bhar nahīñ bhūlegī vo barsāt raat

    Dar ke bijlī se achānak vo lipaTnā us

    aur phir sharm se bal khā ke simaTnā us

    kabhī dekhī na sunī aisī tilismāt raat

    zindagī-bhar nahīñ bhūlegī vo barsāt raat

    surḳh āñchal ko dabā kar jo nichoḌā us ne

    dil pe jaltā huā ik terā chhoḌā us ne

    aag paanī meñ lagāte hue hālāt raat

    zindagī-bhar nahīñ bhūlegī vo barsāt raat

    mere naġhmoñ meñ jo bastī hai vo tasvīr thī vo

    naujavānī ke hasīñ ḳhvāb ta.abīr thī vo

    āsmānoñ se utar aa.ī thī jo raat raat

    zindagī-bhar nahīñ bhūlegī vo barsāt raat

    zindagi-bhar nahin bhulegi wo barsat ki raat

    ek anjaan hasina se mulaqat ki raat

    hae wo reshmin zulfon se barasta pani

    phul se galon pe rukne ko tarasta pani

    dil mein tufan uThae hue jazbaat ki raat

    zindagi-bhar nahin bhulegi wo barsat ki raat

    Dar ke bijli se achanak wo lipaTna us ka

    aur phir sharm se bal kha ke simaTna us ka

    kabhi dekhi na suni aisi tilismat ki raat

    zindagi-bhar nahin bhulegi wo barsat ki raat

    surKH aanchal ko daba kar jo nichoDa us ne

    dil pe jalta hua ek tera sa chhoDa us ne

    aag pani mein lagate hue haalat ki raat

    zindagi-bhar nahin bhulegi wo barsat ki raat

    mere naghmon mein jo basti hai wo taswir thi wo

    naujawani ke hasin KHwab ki tabir thi wo

    aasmanon se utar aai thi jo raat ki raat

    zindagi-bhar nahin bhulegi wo barsat ki raat

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Mohammad Rafi

    Mohammad Rafi

    Source :
    • Book : Kulliyat-e-Sahir Ludhianvi (Pg. 396)
    • Author : SAHIR LUDHIANVI
    • Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now