ye desh hai wir jawanon ka
ye desh hai viir javānoñ kā
albeloñ kā mastānoñ kā
is desh kā yaaro kyā kahnā
ye desh hai duniyā kā gahnā
yahāñ chauḌī chhātī vīroñ kī
yahāñ gorī shakleñ hīroñ kī
yahāñ gaate haiñ rāñjhe mastī meñ
machtī haiñ dhūmeñ bastī meñ
peḌoñ pe bahāreñ jhūloñ kī
rāhoñ meñ qatāreñ phūloñ kī
yahāñ hañstā hai sāvan bāloñ meñ
khiltī haiñ kaliyāñ gāloñ meñ
kahīñ dañggal shoḳh javānoñ ke
kahīñ kartab tiir kamānoñ ke
yahāñ nit nit mele sajte haiñ
nit Dhol aur tāshe bajte haiñ
dilbar ke liye dildār haiñ ham
dushman ke liye talvār haiñ ham
maidāñ meñ agar ham DaT jaa.eñ
mushkil hai ki pīchhe haT jaa.eñ
ye desh hai wir jawanon ka
albelon ka mastanon ka
is desh ka yaro kya kahna
ye desh hai duniya ka gahna
yahan chauDi chhati wiron ki
yahan gori shaklen hiron ki
yahan gate hain ranjhe masti mein
machti hain dhumen basti mein
peDon pe bahaaren jhulon ki
rahon mein qataren phulon ki
yahan hansta hai sawan baalon mein
khilti hain kaliyan galon mein
kahin danggal shoKH jawanon ke
kahin kartab tir kamanon ke
yahan nit nit mele sajte hain
nit Dhol aur tashe bajte hain
dilbar ke liye dildar hain hum
dushman ke liye talwar hain hum
maidan mein agar hum DaT jaen
mushkil hai ki pichhe haT jaen
- Book : Kulliyat-e-Sahir Ludhianvi (Pg. 339)
- Author : SAHIR LUDHIANVI
- Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.