dil-e-betab ko bahlane chale aae hain
dil-e-betāb ko bahlāne chale aa.e haiñ
ham sar-e-shām hī mai-ḳhāne chale aa.e haiñ
dil ne mushkil se farāmosh kiyā thā jin ko
lab pe phir aaj vo afsāne chale aa.e haiñ
be-bulā.e to yahāñ riñd na aate saaqī
yaad farmāyā hai sahbā ne chale aa.e haiñ
rāh-e-mai-ḳhāna se ġhaflat meñ guzar hī jaate
dekh kar raqs meñ paimāne chale aa.e haiñ
aaj piine kā irāda to nahīñ thā lekin
bātoñ bātoñ hī meñ mai-ḳhāne chale aa.e haiñ
dil-e-betab ko bahlane chale aae hain
hum sar-e-sham hi mai-KHane chale aae hain
dil ne mushkil se faramosh kiya tha jin ko
lab pe phir aaj wo afsane chale aae hain
be-bulae to yahan rind na aate saqi
yaad farmaya hai sahba ne chale aae hain
rah-e-mai-KHana se ghaflat mein guzar hi jate
dekh kar raqs mein paimane chale aae hain
aaj pine ka irada to nahin tha lekin
baaton baaton hi mein mai-KHane chale aae hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.