dil ko ranjida karo aankh ko pur-nam kar lo
dil ko ranjīda karo aañkh ko pur-nam kar lo
marne vaale kā koī der to mātam kar lo
vo abhī lauTe haiñ haare hue lashkar kī tarah
sāz-hā-e-tarab-añgez zarā kam kar lo
sansanāte haiñ har ik samt havāoñ ke bhañvar
apne bikhre hue atrāf ko bāham kar lo
itne tanhā ho to is sā.at-e-be-masraf meñ
apnī āñkhoñ meñ koī chehra mujassam kar lo
ye zamīñ TuuTe hue chāñd kī khetī hai 'zubair'
merī rātoñ meñ bapā koī bhī aalam kar lo
dil ko ranjida karo aankh ko pur-nam kar lo
marne wale ka koi der to matam kar lo
wo abhi lauTe hain haare hue lashkar ki tarah
saz-ha-e-tarab-angez zara kam kar lo
sansanate hain har ek samt hawaon ke bhanwar
apne bikhre hue atraf ko baham kar lo
itne tanha ho to is saat-e-be-masraf mein
apni aankhon mein koi chehra mujassam kar lo
ye zamin TuTe hue chand ki kheti hai 'zubair'
meri raaton mein bapa koi bhi aalam kar lo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.