aap meri tabiat se waqif nahin mujhko be-ja takalluf ki aadat nahin
aap meri tabiat se waqif nahin mujhko be-ja takalluf ki aadat nahin
Iqbal Azeem
MORE BYIqbal Azeem
aap merī tabī.at se vāqif nahīñ mujh ko be-jā takalluf kī aadat nahīñ
mujh ko pursish kī pahle bhī ḳhvāhish na thī aur pursish kī ab bhī zarūrat nahīñ
yuuñ sar-e-rāh bhī pursish-e-hāl kī is zamāne meñ fursat kisī ko kahāñ
aap se ye mulāqāt rasmī sahī itnī zahmat bhī kuchh kam ināyat nahīñ
aap is darja afsurda-ḳhātir hoñ aap koī asar apne dil par na leñ
maiñ ne jo kuchh kahā ik fasāna kahā aur fasāne kī koī haqīqat nahīñ
aisī mahfil meñ shirkat se kyā fā.eda aise logoñ se koī tavaqqo.a bhī kyā
jo kahā jaa.e ḳhāmosh sunte raho lab-kushā.ī kī qat.an ijāzat nahīñ
nukta-chīnī to fitrat hai insān kī kis kā shikva kareñ kis ko ilzām deñ
ḳhud hamīñ kaun se pārsāoñ meñ haiñ ham ko duniyā se koī shikāyat nahīñ
mujh ko ma.alūm hai aap majbūr haiñ aap mere liye muft rusvā na hoñ
aise hālāt meñ be-ruḳhī Thiik hai mujh ko is baat par koī hairat nahīñ
kuchh ye 'iqbāl' hī par nahīñ munhasir sargirānī musallat hai māhaul par
aql-o-dānish ke baḌhte hue bojh se sar uThāne kī duniyā ko fursat nahīñ
aap meri tabiat se waqif nahin mujh ko be-ja takalluf ki aadat nahin
mujh ko pursish ki pahle bhi KHwahish na thi aur pursish ki ab bhi zarurat nahin
yun sar-e-rah bhi pursish-e-haal ki is zamane mein fursat kisi ko kahan
aap se ye mulaqat rasmi sahi itni zahmat bhi kuchh kam inayat nahin
aap is darja afsurda-KHatir hon aap koi asar apne dil par na len
main ne jo kuchh kaha ek fasana kaha aur fasane ki koi haqiqat nahin
aisi mahfil mein shirkat se kya faeda aise logon se koi tawaqqoa bhi kya
jo kaha jae KHamosh sunte raho lab-kushai ki qatan ijazat nahin
nukta-chini to fitrat hai insan ki kis ka shikwa karen kis ko ilzam den
KHud hamin kaun se parsaon mein hain hum ko duniya se koi shikayat nahin
mujh ko malum hai aap majbur hain aap mere liye muft ruswa na hon
aise haalat mein be-ruKHi Thik hai mujh ko is baat par koi hairat nahin
kuchh ye 'iqbaal' hi par nahin munhasir sargirani musallat hai mahaul par
aql-o-danish ke baDhte hue bojh se sar uThane ki duniya ko fursat nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.