kis par poshida aur kis pe ayan hona tha
kis par poshīda aur kis pe ayaañ honā thā
kaun huuñ maiñ mujh ko is vaqt kahāñ honā thā
tum kahāñ us kunj-e-āzār meñ khoī huī ho
tum ko to mere bachche kī maañ honā thā
is se pahle kahāñ the ham kis ḳhvāb meñ the
ham donoñ ko ek safar pe ravāñ honā thā
ā.īne ko sabz kiyā merī āñkhoñ ne
mujh se hī ye kār-e-shīsha-garāñ honā thā
kis par poshida aur kis pe ayan hona tha
kaun hun main mujh ko is waqt kahan hona tha
tum kahan us kunj-e-azar mein khoi hui ho
tum ko to mere bachche ki man hona tha
is se pahle kahan the hum kis KHwab mein the
hum donon ko ek safar pe rawan hona tha
aaine ko sabz kiya meri aankhon ne
mujh se hi ye kar-e-shisha-garan hona tha
- Book : Muasir (Pg. 487)
- Author : Habibullah
- Publication : Maktaba muasir 304 alfaisal palaza, Shahrah qaid-e-azam, lahore
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.