aa apne dil mein meri tamanna liye hue
aa apne dil meñ merī tamannā liye hue
shauq-e-kalām o zauq-e-tamāshā liye hue
dil le ke ḳhud ko rahte haiñ kyā kyā liye hue
shīshe vahī to haiñ mirī duniyā liye hue
mahrūmiyoñ pe dil kī miTā jā rahā huuñ maiñ
hai ḳhaak terā naqsh-e-kaf-e-pā liye hue
tārīki-e-fazā kā shikāyat-guzār huuñ
siine meñ āftāb-e-suvaidā liye hue
pahle mire sahāre pe thā kār-o-bār-e-zīst
ab maiñ huuñ zindagī kā sahārā liye hue
jī chāhtā hai umr-e-mohabbat na ḳhatm ho
mar jā.iye kisī kī tamannā liye hue
apnā vaqār-e-ishq kabhī aazmā ke dekh
hogī jabīn-e-husn bhī sajda liye hue
ḳhush huuñ ki jaise god meñ hai lāl-e-shab-charāġh
dāman meñ apne lāla-e-sahrā liye hue
nāsh-e-ravāñ huuñ ziist hai merī fareb-e-zīst
phirtā huuñ zindagī kā janāza liye hue
josh-e-junūñ meñ ālam-vāraftagī na pūchh
sahrā se ham guzar ga.e sahrā liye hue
sar un ke āstāñ pe jo pahuñche to ho yaqīñ
saudā liye hue hai ki sajda liye hue
ham tuur par ga.e bhī to is shaan se ga.e
muusā khaḌe rahe yad-e-baizā liye hue
ai husn mere haal meñ tū bhī sharīk ho
donoñ jahāñ kā baar huuñ tanhā liye hue
be-parda be-ta.ayyun o be-nām dekh use
vo to hai sirf naam kā pardā liye hue
'sīmāb' qadr-dāñ haiñ mire ḳhān-e-jānsaTh
hāzir huā huuñ fikr kā hadiyā liye hue
aa apne dil mein meri tamanna liye hue
shauq-e-kalam o zauq-e-tamasha liye hue
dil le ke KHud ko rahte hain kya kya liye hue
shishe wahi to hain meri duniya liye hue
mahrumiyon pe dil ki miTa ja raha hun main
hai KHak tera naqsh-e-kaf-e-pa liye hue
tariki-e-faza ka shikayat-guzar hun
sine mein aaftab-e-suwaida liye hue
pahle mere sahaare pe tha kar-o-bar-e-zist
ab main hun zindagi ka sahaara liye hue
ji chahta hai umr-e-mohabbat na KHatm ho
mar jaiye kisi ki tamanna liye hue
apna waqar-e-ishq kabhi aazma ke dekh
hogi jabin-e-husn bhi sajda liye hue
KHush hun ki jaise god mein hai lal-e-shab-charagh
daman mein apne lala-e-sahra liye hue
nash-e-rawan hun zist hai meri fareb-e-zist
phirta hun zindagi ka janaza liye hue
josh-e-junun mein aalam-waraftagi na puchh
sahra se hum guzar gae sahra liye hue
sar un ke aastan pe jo pahunche to ho yaqin
sauda liye hue hai ki sajda liye hue
hum tur par gae bhi to is shan se gae
musa khaDe rahe yad-e-baiza liye hue
ai husn mere haal mein tu bhi sharik ho
donon jahan ka bar hun tanha liye hue
be-parda be-tayyun o be-nam dekh use
wo to hai sirf nam ka parda liye hue
'simab' qadr-dan hain mere KHan-e-jaansaTh
hazir hua hun fikr ka hadiya liye hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.