aa gai fasl-e-nau-bahaar dasht mein wo hawa chali
aa ga.ī fasl-e-nau-bahār dasht meñ vo havā chalī
sar pe huā junūñ savār aql piyāda-pā chalī
baaġh se jab havā chalī mai-kade se ghaTā chalī
dil kī kalī khilā chalī dil kī lagī bujhā chalī
tū ne na aa ke diid kī baiTh ke ghar meñ iid kī
laash tire shahīd kī jānib-e-karbalā chalī
vaah re daura-e-sharāb ḳhān-qaheñ huiiñ ḳharāb
jhuum rahe haiñ shaiḳh-o-shāb ab kī ajab havā chalī
shor uThā jo aah kā sabr-o-qarār uḌ chalā
qāfile meñ bajā dirā hone lagī chalā-chalī
sāqī-o-rind-e-bāda-kash aur pukāreñ al-atash
aate haiñ sab ko ġhash pe ġhash aaj sharāb kyā chalī
'qadr' ye fauj jab chaḌhī TūTegī qalb kī ghaḌī
naaz baḌhā adā baḌhī ġhamza chalā hayā chalī
aa gai fasl-e-nau-bahaar dasht mein wo hawa chali
sar pe hua junun sawar aql piyaada-pa chali
bagh se jab hawa chali mai-kade se ghaTa chali
dil ki kali khila chali dil ki lagi bujha chali
tu ne na aa ke did ki baiTh ke ghar mein id ki
lash tere shahid ki jaanib-e-karbala chali
wah re daura-e-sharab KHan-qahen huin KHarab
jhum rahe hain shaiKH-o-shab ab ki ajab hawa chali
shor uTha jo aah ka sabr-o-qarar uD chala
qafile mein baja dira hone lagi chala-chali
saqi-o-rind-e-baada-kash aur pukaren al-atash
aate hain sab ko ghash pe ghash aaj sharab kya chali
'qadr' ye fauj jab chaDhi TuTegi qalb ki ghaDi
naz baDha ada baDhi ghamza chala haya chali
- Book : غزل اس نے چھیڑی (Pg. 38)
- Publication : ریختہ بکس بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا (2017)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.