aa gai phir un ko meri yaad kya
aa ga.ī phir un ko merī yaad kyā
kar liyā taaza sitam ījād kyā
kam sitam thī yūrish-e-baġhdād kyā
ab nishāna hai mire jallād kyā
dostoñ meñ aaj kaise aa ga.e
hil ga.ī tanhā.ī kī buniyād kyā
sadiyoñ pahle ke vahī maiñ aur tum
varna shīrīñ kaun hai farhād kyā
merī taḳhlīqāt kyā deñgī mujhe
kaam aatī hai kabhī aulād kyā
maiñ to huuñ mehr-o-mohabbat kā amiiñ
mas.ala ye hai ki mere ba.ad kyā
aa gai phir un ko meri yaad kya
kar liya taza sitam ijad kya
kam sitam thi yurish-e-baghdad kya
ab nishana hai mere jallad kya
doston mein aaj kaise aa gae
hil gai tanhai ki buniyaad kya
sadiyon pahle ke wahi main aur tum
warna shirin kaun hai farhad kya
meri taKHliqat kya dengi mujhe
kaam aati hai kabhi aulad kya
main to hun mehr-o-mohabbat ka amin
masala ye hai ki mere baad kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.