aa gaya kaun sar-e-bazm ye saqi ban ke
aa gayā kaun sar-e-bazm ye saaqī ban ke
zindagī jhuum uThī turfa sharābī ban ke
ek sangīn haqīqat hai mirā ḳhūn-e-junūñ
dāman-e-gul meñ mahaktā hai kahānī ban ke
ab to mahrūmī-e-dāmāñ nahīñ dekhī jaatī
tum baras jaao kabhī yādoñ ke motī ban ke
aaj jo shīrīñ adāoñ meñ basar hotī hai
kal yahī jaam meñ ghul jā.egī talḳhī ban ke
kū-ba-kū DhūñDhegī ik roz nigāh-e-duniyā
ham jo qurbat meñ tirī kho ga.e duurī ban ke
aa.ina jab bhī koī un ke muqābil hogā
ham utar jā.eñge aks-e-ruḳh-e-māzī ban ke
TuuT jā.eñge bahut vaqt ke shāne 'nāzim'
ham bikhar jā.eñge jab kākul-e-getī ban ke
aa gaya kaun sar-e-bazm ye saqi ban ke
zindagi jhum uThi turfa sharabi ban ke
ek sangin haqiqat hai mera KHun-e-junun
daman-e-gul mein mahakta hai kahani ban ke
ab to mahrumi-e-daman nahin dekhi jati
tum baras jao kabhi yaadon ke moti ban ke
aaj jo shirin adaon mein basar hoti hai
kal yahi jam mein ghul jaegi talKHi ban ke
ku-ba-ku DhunDhegi ek roz nigah-e-duniya
hum jo qurbat mein teri kho gae duri ban ke
aaina jab bhi koi un ke muqabil hoga
hum utar jaenge aks-e-ruKH-e-mazi ban ke
TuT jaenge bahut waqt ke shane 'nazim'
hum bikhar jaenge jab kakul-e-geti ban ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.