aa gaya phir bahaar ka mausam
aa gayā phir bahār kā mausam
husn ke kārobār kā mausam
kis adā se sañvar ke aayā hai
rang-e-lail-o-nahār kā mausam
ahl-e-dil ke liye palaT aayā
fursat-e-intizār kā mausam
ḳhud-baḳhud phuul be-hijāb hue
josh meñ hai nikhār kā mausam
ab khulegā bharam vafāoñ kā
rang lā.egā pyaar kā mausam
kyoñ na ho zikr-e-gul-ruḳhāñ 'az.har'
auj par hai bahār kā mausam
aa gaya phir bahaar ka mausam
husn ke karobar ka mausam
kis ada se sanwar ke aaya hai
rang-e-lail-o-nahaar ka mausam
ahl-e-dil ke liye palaT aaya
fursat-e-intizar ka mausam
KHud-baKHud phul be-hijab hue
josh mein hai nikhaar ka mausam
ab khulega bharam wafaon ka
rang laega pyar ka mausam
kyon na ho zikr-e-gul-ruKHan 'azhar'
auj par hai bahaar ka mausam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.