aa gaya waqt ki ho dawat-e-am ai saqi
aa gayā vaqt ki ho dāvat-e-ām ai saaqī
bhej de chāroñ taraf apnā payām ai saaqī
khīñch lā.egā hazāroñ ko tire paas yahāñ
ye tirā husn-e-nazar husn-e-kalām ai saaqī
ghar luTāne kī nahīñ ghar ko bachāne kī hai fikr
kis qadar ishq hai merā abhī ḳhaam ai saaqī
kāsa-e-dil hai tire sāmne us ko bhar de
mai-e-añgūr to hai mujh pe harām ai saaqī
un se bachnā hai tire lutf-o-karam par mauqūf
haiñ rah-e-ishq meñ phaile hue daam ai saaqī
kab na.e nazm se duniyā ko milegī rāhat
kitnā mohlik hai ye farsūda nizām ai saaqī
duur goshe meñ hai uftāda-o-dil-gīr 'urūj'
aa kabhī us kī taraf bāda-ba-jām ai saaqī
aa gaya waqt ki ho dawat-e-am ai saqi
bhej de chaaron taraf apna payam ai saqi
khinch laega hazaron ko tere pas yahan
ye tera husn-e-nazar husn-e-kalam ai saqi
ghar luTane ki nahin ghar ko bachane ki hai fikr
kis qadar ishq hai mera abhi KHam ai saqi
kasa-e-dil hai tere samne us ko bhar de
mai-e-angur to hai mujh pe haram ai saqi
un se bachna hai tere lutf-o-karam par mauquf
hain rah-e-ishq mein phaile hue dam ai saqi
kab nae nazm se duniya ko milegi rahat
kitna mohlik hai ye farsuda nizam ai saqi
dur goshe mein hai uftada-o-dil-gir 'uruj'
aa kabhi us ki taraf baada-ba-jam ai saqi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.