aa jata hai KHud pas bulana nahin paDta
aa jaatā hai ḳhud paas bulānā nahīñ paḌtā
milne ke liye haath baḌhānā nahīñ paḌtā
kuchh aisī suhūlat se makīñ dil meñ huā vo
mujh ko bhī mirī zaat se jaanā nahīñ paḌtā
ye ḳhaas ri.āyat hai ki ab des meñ apne
ġham muft meñ miltā hai kamānā nahīñ paḌtā
is shahr se us shahr talak sīdhī saḌak hai
filhāl to raste meñ zamāna nahīñ paḌtā
afsāna-e-hastī bhī bahut ḳhuub hai jis meñ
kirdār koī sā bhī nibhānā nahīñ paḌtā
ik karb-e-musalsal ki mirā pahlū-nashīñ hai
ik lutf-e-darūñ jis ko gañvānā nahīñ paḌtā
ab lohā ugāte haiñ daraḳhtoñ kī jagah ham
koyal ko bhī ab shor machānā nahīñ paḌtā
aa jata hai KHud pas bulana nahin paDta
milne ke liye hath baDhana nahin paDta
kuchh aisi suhulat se makin dil mein hua wo
mujh ko bhi meri zat se jaana nahin paDta
ye KHas riayat hai ki ab des mein apne
gham muft mein milta hai kamana nahin paDta
is shahr se us shahr talak sidhi saDak hai
filhaal to raste mein zamana nahin paDta
afsana-e-hasti bhi bahut KHub hai jis mein
kirdar koi sa bhi nibhana nahin paDta
ek karb-e-musalsal ki mera pahlu-nashin hai
ek lutf-e-darun jis ko ganwana nahin paDta
ab loha ugate hain daraKHton ki jagah hum
koyal ko bhi ab shor machana nahin paDta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.