aa ke ek bar mere yar zara dekh to le
aa ke ik baar mire yaar zarā dekh to le
chārāgar ḳhud bhī hai bīmār zarā dekh to le
din guzartā hai tire hijr meñ thoḌā thoḌā
gardish-e-vaqt kī ye maar zarā dekh to le
qalb-e-vārafta kī har aah bhī sahmī sahmī
dhīmī dhīmī sī hai raftār zarā dekh to le
ab bhī mahfūz haiñ āñkhoñ meñ vo saare manzar
vahī naḳhre vahī takrār zarā dekh to le
na samundar hai na sāhil na koī kashtī hai
kaise utregā vo us paar zarā dekh to le
tum ki har baat pe saḌkoñ pe utar aate ho
zañg-ālūda hai talvār zarā dekh to le
maiñ ki baiThā huuñ tire dar pe savālī ban kar
hoñge kitne hī giraftār zarā dekh to le
ham ki ḳhanjar se bhī do bāteñ kiyā karte haiñ
zaḳhm gahrā hai so talvār zarā dekh to le
aa ke ek bar mere yar zara dekh to le
chaaragar KHud bhi hai bimar zara dekh to le
din guzarta hai tere hijr mein thoDa thoDa
gardish-e-waqt ki ye mar zara dekh to le
qalb-e-warafta ki har aah bhi sahmi sahmi
dhimi dhimi si hai raftar zara dekh to le
ab bhi mahfuz hain aankhon mein wo sare manzar
wahi naKHre wahi takrar zara dekh to le
na samundar hai na sahil na koi kashti hai
kaise utrega wo us par zara dekh to le
tum ki har baat pe saDkon pe utar aate ho
zang-aluda hai talwar zara dekh to le
main ki baiTha hun tere dar pe sawali ban kar
honge kitne hi giraftar zara dekh to le
hum ki KHanjar se bhi do baaten kiya karte hain
zaKHm gahra hai so talwar zara dekh to le
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.