aa tujhko KHayal mein basaun
aa tujh ko ḳhayāl meñ basā.ūñ
so.e hue dard ko jagā.ūñ
dil phaTne lagā hai yād-e-mahbūb
aa tujh ko hī ab gale lagā.ūñ
juz tere na sun sake koī bhī
is lai meñ tujhe maiñ gungunā.ūñ
ai naġhma-tarāz jism-e-mauzūñ
misre kī tarah tujhe uThā.ūñ
jo guzrā hai terī ḳhalvatoñ meñ
kaise vo zamāna bhuul jā.ūñ
ho bas meñ mire to sañg-dil ko
hālāt kā ā.īna dikhā.ūñ
aa tujh ko KHayal mein basaun
soe hue dard ko jagaun
dil phaTne laga hai yaad-e-mahbub
aa tujh ko hi ab gale lagaun
juz tere na sun sake koi bhi
is lai mein tujhe main gungunaun
ai naghma-taraaz jism-e-mauzun
misre ki tarah tujhe uThaun
jo guzra hai teri KHalwaton mein
kaise wo zamana bhul jaun
ho bas mein mere to sang-dil ko
haalat ka aaina dikhaun
- Book : funoon-volume-21 (Pg. 333)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.