aankhon pa abhi tohmat-e-binai kahan hai
āñkhoñ pa abhī tohmat-e-bīnā.ī kahāñ hai
tū ḳhud hī tamāsha hai tamāshā.ī kahāñ hai
ā.īna huī tishnagī pāyābī-e-jāñ se
chehre pa to likkhī hui rusvā.ī kahāñ hai
in jāgtī āñkhoñ ko mile dhuup ke bāzār
ai dil vo pighaltī hui tanhā.ī kahāñ hai
suraj hai ki bas nok pe suuī kī khaḌā hai
ab fursat-e-kam-kam bhī mire bhaa.ī kahāñ hai
ḳhuuñ chūste lamhoñ se kaho haath pasāreñ
ehsās kī sūrat abhī zardā.ī kahāñ hai
kuchh aur bikhar kar kahīñ pahchān na kho luuñ
is shahr ko miTī mirī raas aa.ī kahāñ hai
vo shaḳhs baḌe chaav se kuchh pūchh rahā hai
tū aise meñ ai lazzat-e-goyā.ī kahāñ hai
ḳhair apnoñ meñ ik ham hī nakul aa.e haiñ shā'ir
shahzādgī-e-shauq ye ābā.ī kahāñ hai
aankhon pa abhi tohmat-e-binai kahan hai
tu KHud hi tamasha hai tamashai kahan hai
aaina hui tishnagi payabi-e-jaan se
chehre pa to likkhi hui ruswai kahan hai
in jagti aankhon ko mile dhup ke bazar
ai dil wo pighalti hui tanhai kahan hai
suraj hai ki bas nok pe sui ki khaDa hai
ab fursat-e-kam-kam bhi mere bhai kahan hai
KHun chuste lamhon se kaho hath pasaren
ehsas ki surat abhi zardai kahan hai
kuchh aur bikhar kar kahin pahchan na kho lun
is shahr ko miTi meri ras aai kahan hai
wo shaKHs baDe chaw se kuchh puchh raha hai
tu aise mein ai lazzat-e-goyai kahan hai
KHair apnon mein ek hum hi nakul aae hain sha'ir
shahzadgi-e-shauq ye aabai kahan hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.