aab-dar-ab mere sath safar karte hain
āb-dar-āb mire saath safar karte haiñ
tishna-lab ḳhvāb mire saath safar karte haiñ
dasht-e-ehsās tirī pyaas se maiñ haar gayā
varna sailāb mire saath safar karte haiñ
jānte haiñ ki mujhe niiñd nahīñ aatī hai
phir bhī kuchh ḳhvāb mire saath safar karte haiñ
ye batāte haiñ kahāñ baiThnā uThnā hai kahāñ
mere ādāb mire saath safar karte haiñ
ai samundar maiñ bachā.e hue phirtā huuñ tujhe
tere girdāb mire saath safar karte haiñ
ik siyah raat ta.āqub meñ lagī rahtī hai
najm-o-mahtāb mire saath safar karte haiñ
sach to ye hai ki nahīñ ek bhī sachchā in meñ
jitne alqāb mire saath safar karte haiñ
maiñ huuñ buniyād kā patthar tujhe ma.alūm nahīñ
tāq-o-mehrāb mire saath safar karte haiñ
kaun samjhegā in ashkoñ kī ibārat 'tāriq'
jin ke eraab mire saath safar karte haiñ
aab-dar-ab mere sath safar karte hain
tishna-lab KHwab mere sath safar karte hain
dasht-e-ehsas teri pyas se main haar gaya
warna sailab mere sath safar karte hain
jaante hain ki mujhe nind nahin aati hai
phir bhi kuchh KHwab mere sath safar karte hain
ye batate hain kahan baiThna uThna hai kahan
mere aadab mere sath safar karte hain
ai samundar main bachae hue phirta hun tujhe
tere girdab mere sath safar karte hain
ek siyah raat taaqub mein lagi rahti hai
najm-o-mahtab mere sath safar karte hain
sach to ye hai ki nahin ek bhi sachcha in mein
jitne alqab mere sath safar karte hain
main hun buniyaad ka patthar tujhe malum nahin
taq-o-mehrab mere sath safar karte hain
kaun samjhega in ashkon ki ibarat 'tariq'
jin ke erab mere sath safar karte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.