aab-o-dana tera ai bulbul-e-zar uThta hai
āb-o-dāna tirā ai bulbul-e-zār uThtā hai
fasl-e-gul jaatī hai sāmān-e-bahār uThtā hai
shaiḳh bhī muztarib-ul-hāl pahuñch jaatā hai
jānib-e-mai-kada jab abr-e-bahār uThtā hai
marhabā bār-e-amānat ke uThāne vaale
kyā kaleja hai tumhārā ki ye baar uThtā hai
ḳhār-e-sahrā-e-mohabbat kī khaTak kyā kahiye
jab qadam uThtā hai apnā sar-e-ḳhār uThtā hai
dū-e-āh-e-dil-e-sozāñ hai 'mubārak' apnā
jo dhuāñ sham.a se balīn-e-mazār uThtā hai
aab-o-dana tera ai bulbul-e-zar uThta hai
fasl-e-gul jati hai saman-e-bahaar uThta hai
shaiKH bhi muztarib-ul-haal pahunch jata hai
jaanib-e-mai-kada jab abr-e-bahaar uThta hai
marhaba bar-e-amanat ke uThane wale
kya kaleja hai tumhaara ki ye bar uThta hai
KHar-e-sahra-e-mohabbat ki khaTak kya kahiye
jab qadam uThta hai apna sar-e-KHar uThta hai
du-e-ah-e-dil-e-sozan hai 'mubarak' apna
jo dhuan shama se balin-e-mazar uThta hai
- Book : intekhaab-e-kalaam (Pg. 44)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.