aabru-e-shab-e-tira nahin rakhne wale
ābrū-e-shab-e-tīra nahīñ rakhne vaale
ham kahīñ par bhī añdherā nahīñ rakhne vaale
aa.ina rakhne kā ilzām bhī aayā ham par
jab ki ham log to chehrā nahīñ rakhne vaale
ham pe farhād kā kuchh qarz nikaltā hai so ham
tum kaho bhī to ye tesha nahīñ rakhne vaale
ham ko ma.alūm haiñ az-rū-e-mohabbat so ham
koī bhī dard ziyāda nahīñ rakhne vaale
aabru-e-shab-e-tira nahin rakhne wale
hum kahin par bhi andhera nahin rakhne wale
aaina rakhne ka ilzam bhi aaya hum par
jab ki hum log to chehra nahin rakhne wale
hum pe farhad ka kuchh qarz nikalta hai so hum
tum kaho bhi to ye tesha nahin rakhne wale
hum ko malum hain az-ru-e-mohabbat so hum
koi bhi dard ziyaada nahin rakhne wale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.