aabshaaron ki yaad aati hai
ābshāroñ kī yaad aatī hai
phir kināroñ kī yaad aatī hai
jo nahīñ haiñ magar unhīñ se huuñ
un nazāroñ kī yaad aatī hai
zaḳhm pahle ubhar ke aate haiñ
phir hazāroñ kī yaad aatī hai
aa.ine meñ nihār kar ḳhud ko
kuchh ishāroñ kī yaad aatī hai
aur to mujh ko yaad kyā aatā
un pukāroñ kī yaad aatī hai
āsmāñ kī siyāh rātoñ ko
ab sitāroñ kī yaad aatī hai
aabshaaron ki yaad aati hai
phir kinaron ki yaad aati hai
jo nahin hain magar unhin se hun
un nazaron ki yaad aati hai
zaKHm pahle ubhar ke aate hain
phir hazaron ki yaad aati hai
aaine mein nihaar kar KHud ko
kuchh ishaaron ki yaad aati hai
aur to mujh ko yaad kya aata
un pukaron ki yaad aati hai
aasman ki siyah raaton ko
ab sitaron ki yaad aati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.