aadmi aadmi se milte hain
Interesting Fact
Mushaira at Saharanpur on 19 Sep 1912
aadmī aadmī se milte haiñ
aap bhī kyā kisī se milte haiñ
ye hasīñ jis kisī se milte haiñ
jāntā hai mujhī se milte haiñ
ham se furqat-nasīb kyā jāneñ
jo maze zindagī se milte haiñ
kyā batā.eñ junūñ meñ kyā kyā lutf
ham ko un kī hañsī se milte haiñ
kyā kaheñ jab vo milte haiñ tanhā
un se ham kis ḳhushī se milte haiñ
us kī sūrat ko phir koī dekhe
jis se vo be-ruḳhī se milte haiñ
un kī ruḳhsat ke vaqt ham un se
haa.e kis bekasī se milte haiñ
laakh ġham-e-zindagī hai ḳhud ya.anī
laakh ġham-e-zindagī se milte haiñ
apne maz.hab meñ hai nifāq harām
jis se milte haiñ jī se milte haiñ
suḳhan-e-'dāġh' ke mire 'rāġhib'
suḳhan-e-'shauq' hī se milte haiñ
aadmi aadmi se milte hain
aap bhi kya kisi se milte hain
ye hasin jis kisi se milte hain
jaanta hai mujhi se milte hain
hum se furqat-nasib kya jaanen
jo maze zindagi se milte hain
kya bataen junun mein kya kya lutf
hum ko un ki hansi se milte hain
kya kahen jab wo milte hain tanha
un se hum kis KHushi se milte hain
us ki surat ko phir koi dekhe
jis se wo be-ruKHi se milte hain
un ki ruKHsat ke waqt hum un se
hae kis bekasi se milte hain
lakh gham-e-zindagi hai KHud yani
lakh gham-e-zindagi se milte hain
apne mazhab mein hai nifaq haram
jis se milte hain ji se milte hain
suKHan-e-'dagh' ke mere 'raghib'
suKHan-e-'shauq' hi se milte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.