aadmi ek tazad-e-baham hai
aadmī ik tazād-e-bāham hai
kabhī jannat kabhī jahannam hai
ġham hai ik ne.amat-e-ḳhudāvandī
jitnā barto usī qadar kam hai
iltifāt aap kā bajā lekin
kyā ḳhushī hai ki aañkh pur-nam hai
bujh rahe haiñ charāġh-e-dair-o-haram
dil jalāo ki raushnī kam hai
ab kisī se gila nahīñ mujh ko
apnī duniyā hī apnā aalam hai
aadmi ek tazad-e-baham hai
kabhi jannat kabhi jahannam hai
gham hai ek neamat-e-KHudawandi
jitna barto usi qadar kam hai
iltifat aap ka baja lekin
kya KHushi hai ki aankh pur-nam hai
bujh rahe hain charagh-e-dair-o-haram
dil jalao ki raushni kam hai
ab kisi se gila nahin mujh ko
apni duniya hi apna aalam hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.