aadmi irtiqa ki ghaar mein tha
aadmī irtiqā kī ġhaar meñ thā
phir ḳhudā thā to kis qatār meñ thā
aql hī laa.ī us kī chaukhaT tak
dil kahāñ apne iḳhtiyār meñ thā
nekiyāñ rāste meñ bikhrī thiiñ
ilm tasbīh ke hisār meñ thā
jam.a tafrīq ke savāloñ se
tālib-e-ilm intishār meñ thā
rāste par to aa chalā thā magar
aadmī darja-e-ġhubār meñ thā
tai hue fāsle qayāmat ke
varna ik lamha kis shumār meñ thā
us ne laayā mujhe vahāñ ki jahāñ
maiñ ḳhud apne hī intizār meñ thā
aadmi irtiqa ki ghaar mein tha
phir KHuda tha to kis qatar mein tha
aql hi lai us ki chaukhaT tak
dil kahan apne iKHtiyar mein tha
nekiyan raste mein bikhri thin
ilm tasbih ke hisar mein tha
jama tafriq ke sawalon se
talib-e-ilm intishaar mein tha
raste par to aa chala tha magar
aadmi darja-e-ghubar mein tha
tai hue fasle qayamat ke
warna ek lamha kis shumar mein tha
us ne laya mujhe wahan ki jahan
main KHud apne hi intizar mein tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.