aadmi ko waqar mil jae
aadmī ko vaqār mil jaa.e
gar jabīñ ko ġhubār mil jaa.e
kis ko parvā rahe masā.ib kī
fikr ko gar nikhār mil jaa.e
ādmiyyat kā husn hai vo shaḳhs
jis ko un kā shi'ār mil jaa.e
ik tamannā baḌe dinoñ se hai
lailī-e-kū-e-yār mil jaa.e
vo baḌā ḳhush-nasīb hai jis ko
lazzat-e-intizār mil jaa.e
ik zarā sochiye to hogā kyā
gar junūñ ko qarār mil jaa.e
aadmi ko waqar mil jae
gar jabin ko ghubar mil jae
kis ko parwa rahe masaib ki
fikr ko gar nikhaar mil jae
aadmiyyat ka husn hai wo shaKHs
jis ko un ka shi'ar mil jae
ek tamanna baDe dinon se hai
laili-e-ku-e-yar mil jae
wo baDa KHush-nasib hai jis ko
lazzat-e-intizar mil jae
ek zara sochiye to hoga kya
gar junun ko qarar mil jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.