aae hain baada-nosh baDi aan-ban par
aa.e haiñ bāda-nosh baḌī ān-bān par
mela lagā hai pīr-e-muġhāñ kī dukān par
saaqī 'atā ho ab mujhe sāġhar sharāb kā
chhā.ī huī hai kaisī ghaTā āsmān par
rote haiñ tere ishq meñ ai rashk-e-māh jab
karte haiñ log ḳhanda hamārī fuġhān par
paidā huā asar na kabhī merī aah meñ
khāyā na us ne rahm kabhī be-zabān par
ai kaash ye nasīb kareñ itnī yāvarī
pahuñchūñ kabhī maiñ shab ko tumhāre makān par
kis shaan se vo aaj ga.e haiñ 'adū ke ghar
mujh se bigaḌ ke pahuñche haiñ vo āsmān par
allāh shab-e-firāq meñ vo āh-o-zāriyāñ
har vaqt sadme kaise haiñ mujh nīm-jān par
likkhā jo ḳhatt-e-shauq unheñ maiñ ne hijr meñ
rone lage raqīb bhī mere bayān par
yārab tire hī fazl kā ummīd-vār huuñ
khātā nahīñ hai rahm koī nā-tavān par
har-dam tire firāq meñ phirtā huuñ sū-ba-sū
lākhoñ balā.eñ aatī haiñ 'ājiz' kī jaan par
aae hain baada-nosh baDi aan-ban par
mela laga hai pir-e-mughan ki dukan par
saqi 'ata ho ab mujhe saghar sharab ka
chhai hui hai kaisi ghaTa aasman par
rote hain tere ishq mein ai rashk-e-mah jab
karte hain log KHanda hamari fughan par
paida hua asar na kabhi meri aah mein
khaya na us ne rahm kabhi be-zaban par
ai kash ye nasib karen itni yawari
pahunchun kabhi main shab ko tumhaare makan par
kis shan se wo aaj gae hain 'adu ke ghar
mujh se bigaD ke pahunche hain wo aasman par
allah shab-e-firaq mein wo aah-o-zariyan
har waqt sadme kaise hain mujh nim-jaan par
likkha jo KHatt-e-shauq unhen main ne hijr mein
rone lage raqib bhi mere bayan par
yarab tere hi fazl ka ummid-war hun
khata nahin hai rahm koi na-tawan par
har-dam tere firaq mein phirta hun su-ba-su
lakhon balaen aati hain 'ajiz' ki jaan par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.