aae hain dene tasalli wo sambhal jaane ke baad
aae hain dene tasalli wo sambhal jaane ke baad
Maqsood Anwar Maqsood
MORE BYMaqsood Anwar Maqsood
aa.e haiñ dene tasallī vo sambhal jaane ke ba.ad
zindagī kī dhuup kā mausam badal jaane ke ba.ad
hai mirā bhī ik masīhā dosto tum dekhnā
aa.egā lekin vo merā dam nikal jaane ke ba.ad
umr bhar ab qabr par merī duā-ḳhvānī kareñ
chehra-e-iḳhlās par vo ḳhaak mal jaane ke ba.ad
un ke aate bazm meñ kyuuñ hosh sab ke uḌ ga.e
duur hotā hai añdherā sham.a jal jaane ke ba.ad
teġh ke dam par gumāñ thā jin ko apnī fat.h kā
mahv-e-hairat haiñ qalam kā zor chal jaane ke ba.ad
jo nadī itrā rahī hai apne dhāre par abhī
legī apnā jā.eza sāgar meñ Dhal jaane ke ba.ad
is jahāñ meñ be-ġharaz 'maqsūd' koī bhī nahīñ
sab bhulā deñge tujhe matlab nikal jaane ke ba.ad
aae hain dene tasalli wo sambhal jaane ke baad
zindagi ki dhup ka mausam badal jaane ke baad
hai mera bhi ek masiha dosto tum dekhna
aaega lekin wo mera dam nikal jaane ke baad
umr bhar ab qabr par meri dua-KHwani karen
chehra-e-iKHlas par wo KHak mal jaane ke baad
un ke aate bazm mein kyun hosh sab ke uD gae
dur hota hai andhera shama jal jaane ke baad
tegh ke dam par guman tha jin ko apni fath ka
mahw-e-hairat hain qalam ka zor chal jaane ke baad
jo nadi itra rahi hai apne dhaare par abhi
legi apna jaeza sagar mein Dhal jaane ke baad
is jahan mein be-gharaz 'maqsud' koi bhi nahin
sab bhula denge tujhe matlab nikal jaane ke baad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.