aae hain rang bahaali par
aa.e haiñ rañg bahālī par
rakhtā huuñ qadam hariyālī par
ik sūraj merī muTThī meñ
ik sūraj hal kī phālī par
vahī ek charāġh damaktā hai
gandum kī baalī baalī par
dil dukhtā hai dil rotā hai
ik patte kī pāmālī par
kisī an-dātā par gir jaatā
ik sikka kāsa-e-ḳhālī par
koī nuur zuhūr kare 'sarvat'
usī hamd-al-hamd kī jaalī par
aae hain rang bahaali par
rakhta hun qadam hariyali par
ek suraj meri muTThi mein
ek suraj hal ki phaali par
wahi ek charagh damakta hai
gandum ki baali baali par
dil dukhta hai dil rota hai
ek patte ki pamali par
kisi an-data par gir jata
ek sikka kasa-e-KHali par
koi nur zuhur kare 'sarwat'
usi hamd-al-hamd ki jali par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.