aae hain samjhane log
aae hain samjhane log
Kunwar Mahendra Singh Bedi Sahar
MORE BYKunwar Mahendra Singh Bedi Sahar
aa.e haiñ samjhāne log
haiñ kitne dīvāne log
vaqt pe kaam nahīñ aate haiñ
ye jāne-pahchāne log
jaise ham in meñ piite haiñ
laa.e haiñ paimāne log
farzānoñ se kyā ban aa.e
ham to haiñ dīvāne log
ab jab mujh ko hosh nahīñ hai
aa.e haiñ samjhāne log
dair-o-haram meñ chain jo miltā
kyuuñ jaate maiḳhāne log
jaan ke sab kuchh kuchh bhī na jāneñ
haiñ kitne anjāne log
jiinā pahle hī uljhan thā
aur lage uljhāne log
aae hain samjhane log
hain kitne diwane log
waqt pe kaam nahin aate hain
ye jaane-pahchane log
jaise hum in mein pite hain
lae hain paimane log
farzanon se kya ban aae
hum to hain diwane log
ab jab mujh ko hosh nahin hai
aae hain samjhane log
dair-o-haram mein chain jo milta
kyun jate maiKHane log
jaan ke sab kuchh kuchh bhi na jaanen
hain kitne anjaane log
jina pahle hi uljhan tha
aur lage uljhane log
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.