aae ho to marzi se tum ja sakte ho
aa.e ho to marzī se tum jā sakte ho
aur chāho to muḌ kar vāpas aa sakte ho
duur udāsī karnī ho to shauq se tum
kamre meñ merī tasvīr lagā sakte ho
ye andhoñ kā khel hai pyāre tum is meñ
bā-āsānī har kirdār nibhā sakte ho
āḌī-tirchhī chand lakīreñ khīñch ke tum
kāġhaz par koī shahkār banā sakte ho
maiñ ne jo kuchh kahnā thā sab kah Daalā
ya.anī ab tum apnī baat sunā sakte ho
aae ho to marzi se tum ja sakte ho
aur chaho to muD kar wapas aa sakte ho
dur udasi karni ho to shauq se tum
kamre mein meri taswir laga sakte ho
ye andhon ka khel hai pyare tum is mein
ba-asani har kirdar nibha sakte ho
aaDi-tirchhi chand lakiren khinch ke tum
kaghaz par koi shahkar bana sakte ho
main ne jo kuchh kahna tha sab kah Dala
yani ab tum apni baat suna sakte ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.