aae koi hamraaz sitamgar koi aae
aa.e koī hamrāz sitamgar koī aa.e
hasrat thī kabhī mere barābar koī aa.e
aatī haiñ mire dil ke kivāḌoñ se sadā.eñ
ik baar kabhī mere bhī dar par koī aa.e
vīrān paḌī hai ye havelī bhī kabhū kī
hasrat hai ki is dil ke bhī andar koī aa.e
ham baiThe haiñ is aas pe kab ke mire allāh
zar aa.e sadaf aa.e yā gauhar koī aa.e
jis ne kabhī bastī se nikālā mujhe 'hamza'
ab us kī ye hasrat ki mayassar koī aa.e
aae koi hamraaz sitamgar koi aae
hasrat thi kabhi mere barabar koi aae
aati hain mere dil ke kiwaDon se sadaen
ek bar kabhi mere bhi dar par koi aae
viran paDi hai ye haweli bhi kabhu ki
hasrat hai ki is dil ke bhi andar koi aae
hum baiThe hain is aas pe kab ke mere allah
zar aae sadaf aae ya gauhar koi aae
jis ne kabhi basti se nikala mujhe 'hamza'
ab us ki ye hasrat ki mayassar koi aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.