aae the un ke sath nazare chale gae
aa.e the un ke saath nazāre chale ga.e
vo shab vo chāñdnī vo sitāre chale ga.e
shāyad tumhāre saath bhī vāpas na aa sakeñ
vo valvale jo saath tumhāre chale ga.e
kashtī taḌap ke halqa-e-tūfāñ meñ rah ga.ī
dekho to kitnī duur kināre chale ga.e
har āstāñ agarche tirā āstāñ na thā
har āstāñ pe tujh ko pukāre chale ga.e
shām-e-visāl ḳhāna-e-ġhurbat se ruuTh kar
tum kyā ga.e nasīb hamāre chale ga.e
dekhā to phir vahīñ the chale the jahāñ se ham
kashtī ke saath saath kināre chale ga.e
mahfil meñ kis ko tāb-e-huzūr-e-jamāl thī
aa.e tirī nigāh ke maare chale ga.e
jaate hujūm-e-hashr meñ ham āsiyān-e-dahr
ai lutf-e-yār tere sahāre chale ga.e
dushman ga.e to kashmakash-e-dostī ga.ī
dushman ga.e ki dost hamāre chale ga.e
jaate hī un ke 'saif' shab-e-ġham ne aa liyā
ruḳhsat huā vo chāñd sitāre chale ga.e
aae the un ke sath nazare chale gae
wo shab wo chandni wo sitare chale gae
shayad tumhaare sath bhi wapas na aa saken
wo walwale jo sath tumhaare chale gae
kashti taDap ke halqa-e-tufan mein rah gai
dekho to kitni dur kinare chale gae
har aastan agarche tera aastan na tha
har aastan pe tujh ko pukare chale gae
sham-e-visal KHana-e-ghurbat se ruTh kar
tum kya gae nasib hamare chale gae
dekha to phir wahin the chale the jahan se hum
kashti ke sath sath kinare chale gae
mahfil mein kis ko tab-e-huzur-e-jamal thi
aae teri nigah ke mare chale gae
jate hujum-e-hashr mein hum aasiyan-e-dahr
ai lutf-e-yar tere sahaare chale gae
dushman gae to kashmakash-e-dosti gai
dushman gae ki dost hamare chale gae
jate hi un ke 'saif' shab-e-gham ne aa liya
ruKHsat hua wo chand sitare chale gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.