aaega inqalab zara dekhte raho
aa.egā inqalāb zarā dekhte raho
hogā vo lā-javāb zarā dekhte raho
dār-o-rasan kī dekh leñ zīnat banegā kaun
ho kis kā intiḳhāb zarā dekhte raho
maḳhmūr āñkheñ uTh ga.iiñ jo āsmāñ kī samt
barsegī ab sharāb zarā dekhte raho
parda kiye jo baiThe bharī anjuman meñ the
hoñge vo be-naqāb zarā dekhte raho
ḳhat likh ke hāl-e-dil unheñ bhejā to hai magar
aa.egā kyā javāb zarā dekhte raho
ye husn ye adā ye javānī bhī ai 'navāz'
ho jā.eñge ye ḳhvāb zarā dekhte raho
aaega inqalab zara dekhte raho
hoga wo la-jawab zara dekhte raho
dar-o-rasan ki dekh len zinat banega kaun
ho kis ka intiKHab zara dekhte raho
maKHmur aankhen uTh gain jo aasman ki samt
barsegi ab sharab zara dekhte raho
parda kiye jo baiThe bhari anjuman mein the
honge wo be-naqab zara dekhte raho
KHat likh ke haal-e-dil unhen bheja to hai magar
aaega kya jawab zara dekhte raho
ye husn ye ada ye jawani bhi ai 'nawaz'
ho jaenge ye KHwab zara dekhte raho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.