Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aaen aansu agar aankhon mein to bas pi jaen

Manmohan Talkh

aaen aansu agar aankhon mein to bas pi jaen

Manmohan Talkh

MORE BYManmohan Talkh

    aa.eñ aañsū agar āñkhoñ meñ to bas jaa.eñ

    haal sab pūchhte haiñ ham na kahīñ bhī jaa.eñ

    dekhte ho jo kabhī mahv-e-suḳhan ḳhud se hameñ

    haiñ vo bāteñ bhī ki ḳhud se jo faqat jaa.eñ

    ham ka.ī roz se be-vaj.h bahut ḳhush haiñ chalo

    zindagī ye adā.eñ bhī to dekhī jaa.eñ

    ham to yuuñ chup haiñ ki kyā baat kisī se jaa.e

    phir bhī muñh se ka.ī bāteñ to nikal jaa.eñ

    raah chalte maiñ jise dekhtā huuñ lagtā hai

    jaise be-vaj.h āñkheñ haiñ ki taktī jaa.eñ

    kyā mileñ 'talḳh' kisī se kabhī aate jaate

    ghar chaukhaT pe qadam rakh ke palaT bhī jaa.eñ

    aaen aansu agar aankhon mein to bas pi jaen

    haal sab puchhte hain hum na kahin bhi jaen

    dekhte ho jo kabhi mahw-e-suKHan KHud se hamein

    hain wo baaten bhi ki KHud se jo faqat ki jaen

    hum kai roz se be-wajh bahut KHush hain chalo

    zindagi ki ye adaen bhi to dekhi jaen

    hum to yun chup hain ki kya baat kisi se ki jae

    phir bhi munh se kai baaten to nikal hi jaen

    rah chalte main jise dekhta hun lagta hai

    jaise be-wajh si aankhen hain ki takti jaen

    kya milen 'talKH' kisi se kabhi aate jate

    ghar ki chaukhaT pe qadam rakh ke palaT bhi jaen

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    aaen aansu agar aankhon mein to bas pi jaen Nomaan Shauque

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now