aafaton mein ghir gaya hun zist se be-zar hun
āfatoñ meñ ghir gayā huuñ ziist se be-zār huuñ
maiñ kisī rūmān-e-ġham kā markazī kirdār huuñ
muddatoñ khelī haiñ mujh se ġham kī bedard uñgliyāñ
maiñ rabāb-e-zindagī kā ik shikasta taar huuñ
dūsroñ kā dard 'aḳhtar' mere dil kā dard hai
mubtalā-e-ġham hai duniyā aur maiñ ġham-ḳhvār huuñ
aafaton mein ghir gaya hun zist se be-zar hun
main kisi ruman-e-gham ka markazi kirdar hun
muddaton kheli hain mujh se gham ki bedard ungliyan
main rabab-e-zindagi ka ek shikasta tar hun
dusron ka dard 'aKHtar' mere dil ka dard hai
mubtala-e-gham hai duniya aur main gham-KHwar hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.