aafiyat zulm se aur pyar qaza se manga
āfiyat zulm se aur pyaar qazā se māñgā
ham ne insāf bhī arbab-e-jafā se māñgā
kar diyā ḳhuld ke har khet se be-daḳhl hameñ
hissa jab dāna-e-gandum meñ ḳhudā se māñgā
jab jhaTak kar uThe ham niiñd se bojhal sapne
tāzgī sub.h se lī saañs sabā se māñgā
nuur jab chāhā kiyā apne hī māthe se tulūa
saayā māñgā to tirī zulf-e-dotā se māñgā
vo bhaTaktā rahā manzil ke qarīb āvāra
jis ne manzil kā patā rāh-numā se māñgā
haq-o-nāhaq kī laḌā.ī kī savāneh hai gavāh
bhiik meñ rahm usī mun.im ne gadā se māñgā
vo mirā nutq hī de de to ġhanīmat 'shaukat'
lahn-e-dā.ūd nahīñ naġhma-sarā se māñgā
aafiyat zulm se aur pyar qaza se manga
hum ne insaf bhi arbab-e-jafa se manga
kar diya KHuld ke har khet se be-daKHl hamein
hissa jab dana-e-gandum mein KHuda se manga
jab jhaTak kar uThe hum nind se bojhal sapne
tazgi subh se li sans saba se manga
nur jab chaha kiya apne hi mathe se tulua
saya manga to teri zulf-e-dota se manga
wo bhaTakta raha manzil ke qarib aawara
jis ne manzil ka pata rah-numa se manga
haq-o-nahaq ki laDai ki sawaneh hai gawah
bhik mein rahm usi munim ne gada se manga
wo mera nutq hi de de to ghanimat 'shaukat'
lahn-e-daud nahin naghma-sara se manga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.