aag chulhe ki bujhi jati hai
aag chūlhe kī bujhī jaatī hai
chāñdnī hai ki khilī jaatī hai
jis qadar nīche utartā huuñ maiñ
jhiil bhī gahrī huī jaatī hai
gard uThī hai jo mirī Thokar se
ek dīvār banī jaatī hai
pahre hoñToñ pe biThāne vaale
baat āñkhoñ se bhī kī jaatī hai
log sāhil pe khaḌe dekhte haiñ
naav kāġhaz kī bahī jaatī hai
aag chulhe ki bujhi jati hai
chandni hai ki khili jati hai
jis qadar niche utarta hun main
jhil bhi gahri hui jati hai
gard uThi hai jo meri Thokar se
ek diwar bani jati hai
pahre honTon pe biThane wale
baat aankhon se bhi ki jati hai
log sahil pe khaDe dekhte hain
naw kaghaz ki bahi jati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.