Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aag ka rishta nikal aae koi pani ke sath

Zafar Iqbal

aag ka rishta nikal aae koi pani ke sath

Zafar Iqbal

MORE BYZafar Iqbal

    aag rishta nikal aa.e koī paanī ke saath

    zinda rah saktā huuñ aisī ḳhush-imkānī ke saath

    tum batlāo ki us qadr kyā hogī tumheñ

    jo mohabbat muft meñ mil jaa.e āsānī ke saath

    baat hai kuchh zinda rah jaanā bhī apnā aaj tak

    lahar thī āsūdgī bhī pareshānī ke saath

    chal rahā hai kaam saarā ḳhuub mil-jul kar yahāñ

    kufr bhī chimTā huā hai jazb-e-īmānī ke saath

    farq paḌtā hai koī logoñ meñ rahne se zarūr

    shahr ke ādāb the apnī bayābānī ke saath

    ye vo duniyā hai ki jis kuchh Thikānā nahīñ

    ham guzāra kar rahe haiñ dushman-e-jānī ke saath

    rā.egānī se zarā aage nikal aa.e haiñ ham

    is dafa to kuchh girānī bhī hai arzānī ke saath

    apnī marzī se bhī ham ne kaam kar Daale haiñ kuchh

    lafz ko laḌvā diyā hai beshtar ma.anī ke saath

    fāsloñ fāsloñ meñ jaan se haarā 'zafar'

    ishq thā lāhoriye ko ek multānī ke saath

    aag ka rishta nikal aae koi pani ke sath

    zinda rah sakta hun aisi hi KHush-imkani ke sath

    tum hi batlao ki us ki qadr kya hogi tumhein

    jo mohabbat muft mein mil jae aasani ke sath

    baat hai kuchh zinda rah jaana bhi apna aaj tak

    lahar thi aasudgi ki bhi pareshani ke sath

    chal raha hai kaam sara KHub mil-jul kar yahan

    kufr bhi chimTa hua hai jazb-e-imani ke sath

    farq paDta hai koi logon mein rahne se zarur

    shahr ke aadab the apni bayabani ke sath

    ye wo duniya hai ki jis ka kuchh Thikana hi nahin

    hum guzara kar rahe hain dushman-e-jaani ke sath

    raegani se zara aage nikal aae hain hum

    is dafa to kuchh girani bhi hai arzani ke sath

    apni marzi se bhi hum ne kaam kar Dale hain kuchh

    lafz ko laDwa diya hai beshtar mani ke sath

    faslon hi faslon mein jaan se haara 'zafar'

    ishq tha lahoriye ko ek multani ke sath

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now