aag ke safar mein jab rakh ka badan hoga
aag ke safar meñ jab raakh kā badan hogā
ek saañs lenā bhī zindagī kā fan hogā
jo bhī maiñ ne sochā thā vo hī ab ke likkhā hai
tang aur bhī ab ke halqa-e-rasan hogā
manzileñ bhī nā-mā'lūm rāste bhī lā-mahdūd
ye safar bhī lagtā hai bā'is-e-thakan hogā
us ne merī shāḳhoñ ko is tarah numū baḳhshī
zaḳhm ke khileñge phuul dard kā chaman hogā
ham ko phir zamāne tak log yaad rakkheñge
sar ki hogā neze par jism be-kafan hogā
sīna-e-mohabbat meñ dard jab nahīñ hotā
saaz be-sure hoñge she'r be-vazan hogā
aag ke safar mein jab rakh ka badan hoga
ek sans lena bhi zindagi ka fan hoga
jo bhi main ne socha tha wo hi ab ke likkha hai
tang aur bhi ab ke halqa-e-rasan hoga
manzilen bhi na-ma'lum raste bhi la-mahdud
ye safar bhi lagta hai ba'is-e-thakan hoga
us ne meri shaKHon ko is tarah numu baKHshi
zaKHm ke khilenge phul dard ka chaman hoga
hum ko phir zamane tak log yaad rakkhenge
sar ki hoga neze par jism be-kafan hoga
sina-e-mohabbat mein dard jab nahin hota
saz be-sure honge she'r be-wazan hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.