aag mein jalte hue dekha gaya hai
aag meñ jalte hue dekhā gayā hai
āsmāñ galte hue dekhā gayā hai
ek be-chehra musāfir rañg oḌhe
dhund meñ chalte hue dekhā gayā hai
muTThiyāñ bhar kar use tārīkiyoñ se
shakl par malte hue dekhā gayā hai
ghar meñ bhī huuñ aur mujh ko dasht meñ bhī
dhuup meñ jalte hue dekhā gayā hai
chaudhvīñ ke chāñd meñ us kā sarāpā
sub.h-dam Dhalte hue dekhā gayā hai
aag mein jalte hue dekha gaya hai
aasman galte hue dekha gaya hai
ek be-chehra musafir rang oDhe
dhund mein chalte hue dekha gaya hai
muTThiyan bhar kar use tarikiyon se
shakl par malte hue dekha gaya hai
ghar mein bhi hun aur mujh ko dasht mein bhi
dhup mein jalte hue dekha gaya hai
chaudhwin ke chand mein us ka sarapa
subh-dam Dhalte hue dekha gaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.