aag pani bhi hai miTTi hai hawa hai mujh mein
aag paanī bhī hai miTTī hai havā hai mujh meñ
mere ḳhāliq kā koī raaz chhupā hai mujh meñ
ho na jaa.e tah-o-bālā kahīñ duniyā saarī
ek tūfān-e-balā-ḳhez bapā hai mujh meñ
rok letī huuñ qadam ḳhud hī ġhalat rāhoñ se
aisā lagtā hai koī mujh se baḌā hai mujh meñ
ek muddat se vo ḳhāmosh hai 'sīmā' lekin
ek muddat se vahī chīḳh rahā hai mujh meñ
aag pani bhi hai miTTi hai hawa hai mujh mein
mere KHaliq ka koi raaz chhupa hai mujh mein
ho na jae tah-o-baala kahin duniya sari
ek tufan-e-bala-KHez bapa hai mujh mein
rok leti hun qadam KHud hi ghalat rahon se
aisa lagta hai koi mujh se baDa hai mujh mein
ek muddat se wo KHamosh hai 'sima' lekin
ek muddat se wahi chiKH raha hai mujh mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.