aaghaz hua hai ulfat ka ab dekhiye kya kya hona hai
aaghaz hua hai ulfat ka ab dekhiye kya kya hona hai
Hamidullah Afsar
MORE BYHamidullah Afsar
āġhāz huā hai ulfat kā ab dekhiye kyā kyā honā hai
yā saarī umr kī rāhat hai yā saarī umr kā ronā hai
shāyad thā bayāz-e-shab meñ kahīñ iksīr kā nusḳha bhī koī
ai sub.h ye terī jholī hai yā duniyā bhar kā sonā hai
tadbīr ke hāthoñ se goyā taqdīr kā parda uThtā hai
yā kuchh bhī nahīñ yā sab kuchh hai yā miTī hai yā sonā hai
TuuTe jo ye band-e-hayāt kahīñ is shor-o-shar se najāt mile
maanā ki vo duniyā ai 'afsar' sirf ek lahad kā konā hai
aaghaz hua hai ulfat ka ab dekhiye kya kya hona hai
ya sari umr ki rahat hai ya sari umr ka rona hai
shayad tha bayaz-e-shab mein kahin iksir ka nusKHa bhi koi
ai subh ye teri jholi hai ya duniya bhar ka sona hai
tadbir ke hathon se goya taqdir ka parda uThta hai
ya kuchh bhi nahin ya sab kuchh hai ya miTi hai ya sona hai
TuTe jo ye band-e-hayat kahin is shor-o-shar se najat mile
mana ki wo duniya ai 'afsar' sirf ek lahad ka kona hai
- Book : Jadeed Shora-e-Urdu (Pg. 600)
- Author : Dr. Abdul Wahid
- Publication : Feroz sons Printers Publishers and Stationers
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.