Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aagahi aur aagahi dijiye aagahi kuchh aur

Jameel Mazhari

aagahi aur aagahi dijiye aagahi kuchh aur

Jameel Mazhari

MORE BYJameel Mazhari

    āgahī aur āgahī dījiye āgahī kuchh aur

    tīrgī ghor ghor hai pheñkiye raushnī kuchh aur

    is ḳhudā sanam sanam us ḳhudā haram haram

    ishq gumrahī kuchh aur aql gumrahī kuchh aur

    us tahī hai jeb aur is dimāġh hai tahī

    us hai muflisī kuchh aur is hai muflisī kuchh aur

    naaz tirā chaman chaman raaz tirā dahan dahan

    kahtī hai tīrgī kuchh aur kahtī hai raushnī kuchh aur

    kahtī hai dopahar dhuup merā mizāj garm hai

    lekin ujālī raat meñ kahtī hai chāñdnī kuchh aur

    bad hai koī na nek hai donoñ maqsad ek hai

    garche hai rahzanī kuchh aur garche hai rahbarī kuchh aur

    garche ḳhudā ko aap ne māh-e-laqā banā diyā

    us ke firāq meñ 'jamīl' kījiye shā.erī kuchh aur

    aagahi aur aagahi dijiye aagahi kuchh aur

    tirgi ghor ghor hai phenkiye raushni kuchh aur

    is ka KHuda sanam sanam us ka KHuda haram haram

    ishq ki gumrahi kuchh aur aql ki gumrahi kuchh aur

    us ki tahi hai jeb aur is ka dimagh hai tahi

    us ki hai muflisi kuchh aur is ki hai muflisi kuchh aur

    naz tera chaman chaman raaz tera dahan dahan

    kahti hai tirgi kuchh aur kahti hai raushni kuchh aur

    kahti hai dopahar ki dhup mera mizaj garm hai

    lekin ujali raat mein kahti hai chandni kuchh aur

    bad hai koi na nek hai donon ka maqsad ek hai

    garche hai rahzani kuchh aur garche hai rahbari kuchh aur

    garche KHuda ko aap ne mah-e-laqa bana diya

    us ke firaq mein 'jamil' kijiye shaeri kuchh aur

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now