aagahi ilm-o-basirat mein nikhar jaane ka nam
āgahī ilm-o-basīrat meñ nikhar jaane kā naam
raushnī rāh-e-vafā meñ ḳhud bikhar jaane kā naam
aadmī iḳhlās ke gesū sañvar jaane kā naam
dostī jazbāt ke siine meñ bhar jaane kā naam
tishnagī manzil se pahle hī Thahar jaane kā naam
shā.erī jazbāt ke siine meñ bhar jaane kā naam
ḳhud-sarī nazroñ se auroñ ke utar jaane kā naam
buzdilī saa.e se apne aap Dar jaane kā naam
bandagī har aarzū qurbān kar jaane kā naam
zindagī ishq-o-mohabbat hī meñ mar jaane kā naam
aagahi ilm-o-basirat mein nikhar jaane ka nam
raushni rah-e-wafa mein KHud bikhar jaane ka nam
aadmi iKHlas ke gesu sanwar jaane ka nam
dosti jazbaat ke sine mein bhar jaane ka nam
tishnagi manzil se pahle hi Thahar jaane ka nam
shaeri jazbaat ke sine mein bhar jaane ka nam
KHud-sari nazron se auron ke utar jaane ka nam
buzdili sae se apne aap Dar jaane ka nam
bandagi har aarzu qurban kar jaane ka nam
zindagi ishq-o-mohabbat hi mein mar jaane ka nam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.