aage baDhe na qissa-e-ishq-e-butan se hum
aage baḌhe na qissa-e-ishq-e-butāñ se ham
sab kuchh kahā magar na khule rāzdāñ se ham
ab bhāgte haiñ sāya-e-ishq-e-butāñ se ham
kuchh dil se haiñ Dare hue kuchh āsmāñ se ham
hañste haiñ us ke girya-e-be-iḳhtiyār par
bhūle haiñ baat kah ke koī rāzdāñ se ham
ab shauq se bigaḌ ke hī bāteñ kiyā karo
kuchh pā ga.e haiñ aap ke tarz-e-bayāñ se ham
jannat meñ to nahīñ agar ye zaḳhm-e-teġh-e-ishq
badleñge tujh ko zindagī-e-jāvedāñ se ham
aage baDhe na qissa-e-ishq-e-butan se hum
sab kuchh kaha magar na khule raazdan se hum
ab bhagte hain saya-e-ishq-e-butan se hum
kuchh dil se hain Dare hue kuchh aasman se hum
hanste hain us ke girya-e-be-iKHtiyar par
bhule hain baat kah ke koi raazdan se hum
ab shauq se bigaD ke hi baaten kiya karo
kuchh pa gae hain aap ke tarz-e-bayan se hum
jannat mein to nahin agar ye zaKHm-e-tegh-e-ishq
badlenge tujh ko zindagi-e-jawedan se hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.