aage sarak rahe hain ki sakta bhi hai ajab
aage sarak rahe haiñ ki sakta bhī hai ajab
dīvār-o-dar ko shauq-e-tamāshā bhī hai ajab
shāyad udaas shāḳhoñ se lipTā huā mile
apnī galī meñ us kā Thikāna bhī hai ajab
bikhre hurūf joḌ ke likh do koī to naam
is dil ke dukh ajab haiñ masīhā bhī hai ajab
harf-e-visāl harf-e-gumāñ tak na ban sakā
tahzīb-e-jāñ meñ ġham kā mudāvā bhī hai ajab
bhejī haiñ us ne phūloñ meñ muñh band sīpiyāñ
inkār bhī ajab hai bulāvā bhī hai ajab
aage sarak rahe hain ki sakta bhi hai ajab
diwar-o-dar ko shauq-e-tamasha bhi hai ajab
shayad udas shaKHon se lipTa hua mile
apni gali mein us ka Thikana bhi hai ajab
bikhre huruf joD ke likh do koi to nam
is dil ke dukh ajab hain masiha bhi hai ajab
harf-e-visal harf-e-guman tak na ban saka
tahzib-e-jaan mein gham ka mudawa bhi hai ajab
bheji hain us ne phulon mein munh band sipiyan
inkar bhi ajab hai bulawa bhi hai ajab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.