aage wo ja bhi chuke lutf-e-nazara bhi gaya
aage wo ja bhi chuke lutf-e-nazara bhi gaya
Abu Mohammad Wasil Bahraichi
MORE BYAbu Mohammad Wasil Bahraichi
aage vo jā bhī chuke lutf-e-nazāra bhī gayā
chashm-e-ġhaflat na khulī sub.h kā taarā bhī gayā
sard-mehrī se tirī garmī-e-ulfat na rahī
dil meñ uThtā thā jo har-dam vo sharāra bhī gayā
dil ke ā.īne meñ jab aap kī sūrat dekhī
jis ko dhokā maiñ samajhtā thā vo dhokā bhī gayā
ishq ko tāb-e-tajallī nahīñ kyā dekhegā
husn ye jaan ke pardoñ ko uThātā bhī gayā
kis ne paa.ī hai ġham-e-yār-e-mohabbat se najāt
ishq kā bojh kahīñ sar se utārā bhī gayā
tere qadmoñ pe jo lazzat hai vo hāsil na huī
yuuñ to sajde meñ sar-e-ijz jhukāyā bhī gayā
dil kī āshufta-mizājī meñ na kuchh farq aayā
bārhā zulf-e-pareshāñ ko sañvārā bhī gayā
māñgne se kahīñ ye chiiz milā kartī hai
dil churāne hī ke qābil thā churāyā bhī gayā
be-ḳhudī tujh pe tasadduq hoñ mire hosh-o-havās
sāmne hote hue un ko pukārā bhī gayā
ek hī chiiz hai parde meñ ki bairūn-e-hijāb
mujh ko zāhir bhī kiyā ḳhud ko chhupāyā bhī gayā
phir bhī āñkheñ rahīñ mahrūm-e-tamāshā-e-jamāl
un kī tasvīr ko shīshe meñ utārā bhī gayā
chhoḌ kar mujh ko bhañvar meñ na ḳhabar lī merī
ik sahārā thā tumhārā vo sahārā bhī gayā
pā-e-mahbūb pe sar rakh ke hue ham 'vāsil'
zindagī paa.ī na.ī maut kā dhaḌkā bhī gayā
dil ke ā.īne meñ nādīda tajallī dekhī
ḳhud-numā.ī kā bhalā ho ki vo pardā bhī gayā
aage wo ja bhi chuke lutf-e-nazara bhi gaya
chashm-e-ghaflat na khuli subh ka tara bhi gaya
sard-mehri se teri garmi-e-ulfat na rahi
dil mein uThta tha jo har-dam wo sharara bhi gaya
dil ke aaine mein jab aap ki surat dekhi
jis ko dhoka main samajhta tha wo dhoka bhi gaya
ishq ko tab-e-tajalli nahin kya dekhega
husn ye jaan ke pardon ko uThata bhi gaya
kis ne pai hai gham-e-yar-e-mohabbat se najat
ishq ka bojh kahin sar se utara bhi gaya
tere qadmon pe jo lazzat hai wo hasil na hui
yun to sajde mein sar-e-ijz jhukaya bhi gaya
dil ki aashufta-mizaji mein na kuchh farq aaya
barha zulf-e-pareshan ko sanwara bhi gaya
mangne se kahin ye chiz mila karti hai
dil churane hi ke qabil tha churaya bhi gaya
be-KHudi tujh pe tasadduq hon mere hosh-o-hawas
samne hote hue un ko pukara bhi gaya
ek hi chiz hai parde mein ki bairun-e-hijab
mujh ko zahir bhi kiya KHud ko chhupaya bhi gaya
phir bhi aankhen rahin mahrum-e-tamasha-e-jamal
un ki taswir ko shishe mein utara bhi gaya
chhoD kar mujh ko bhanwar mein na KHabar li meri
ek sahaara tha tumhaara wo sahaara bhi gaya
pa-e-mahbub pe sar rakh ke hue hum 'wasil'
zindagi pai nai maut ka dhaDka bhi gaya
dil ke aaine mein nadida tajalli dekhi
KHud-numai ka bhala ho ki wo parda bhi gaya
- Book : Jalwa-e-Haq (Pg. 54)
- Author : Abu Mohammad vasil
- Publication : Urdu Academy (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.